Meri Maa

Meri Maa

Maa, Main tumse chahe kitna bhi lad loon, ya phir kitna bhi door rahu.

Phir bhi tumhari yaad aati hi rehti hai.

Tumhe maine block zarur kiya tha WhatsApp par kyunki main pareshan ho gayi thi tumhare bahut saare sawalon se.

Divorcee hona koi choti baat toh nahi hai na, Maa.

Aur tumhare taur tareeke mujhse ab nahi ho raha hai follow karne.

Main tumse door isliye hun kyunki main tumse aaj bhi bahut pyaar karti hoon.

Main Bhagwaan se roz tumhari sahi salamati ke liye zaroor prarathana karti rahungi.

Waqt ke paas har masle ka malam hota hai, thoda sabar karna.

Tumhari Beti,

Prerana.

Leave a comment